Relationships
Pehli Bochaar Sawan Ki- Part 2

Tapti Dharti par jab barsi bundey raahat ki, dil main umadd uthi lehrey chaahat ki,

Sondhi si wo Khushboo jab apni aur kheenchne lagi, mehsus karne ko wo pyara ehsaas main aankhein meenchne lagi,

Uthi mann main umangey nayi, to baji tarangey kahi, adhuri hee sahi, par khubsurat si lagi zindagi.

Tip Tip padta paani jab badlaa chum chum barish main, khud ko asahaey paaya maine is mausam ki saazish main.

Pehli bundh jab padi chehre par, ankhiyaan sharam se jhapak gayi, dheemi si hawa chali jo; meri zulfo ko chedd gayai.

Chehrey se hayaa ki laali jab hui kam, Shararti dil ne liya nayaa janam.

Khul uthi wo band baahein, taakney lagi ab wo teri rahein, meethi si tanhayi main dil bhar raha tha aahein.

Tarasti nigahein dhundhne lagi tujhey, jaaney tu kaha hain? Kartaa hoga tu bhi mera intezaar, deh chahey tera ho waha, dil to tera yaha hain.

Pyare in lamho ki maine yaadein sanjoyi, vartamaan ko bhul main bhavishy main hoon khoyi,

Dekh rahi khuli aankhon se ik sundar sapna, wo lamha jisme tu hoga apna. Audh lungi tujhe banaakar apna Daaman, khubsurat sa hoga wo apna pehla saawan.

© Manisha Dawar

Share your thoughts, comments with us*

Fiction, Relationship and Learning from Life MadhuKarama Gurugram India